Shahr Lagta Hai Bayaban Mujhe

shahr lagta hai bayaban mujhe

kahin milta nahin insan mujhe

main tera naqsh-e-qadam hun ai dost

apne andaz se pahchan mujhe

main tujhe jaan samajh baiTha hun

apne sae ki tarah jaan mujhe

tu kahan hai ki tere parde mein

liye phirta hai tera dhyan mujhe

teri KHushbu ko saba lai thi

kar gai aur pareshan mujhe

sar-o-saman-e-do-alam hun main

kyun kaho be-sar-o-saman mujhe

meri hasti tera afsana thi

maut ne de diya unwan mujhe

dil ki dhaDkan pe guman hota hai

DhunDhta hai koi har-an mujhe

main bhi aaina hun tera lekin

tu ne dekha kabhi hairan mujhe

un ki nisbat ka karishma hai 'zafar'

kahte hain yusuf-e-kanan mujhe

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Lagta Hai Bayaban Mujhe In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Shahr Lagta Hai Bayaban Mujhe is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Shahr Lagta Hai Bayaban Mujhe for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Shahr Lagta Hai Bayaban Mujhe in PDF.