Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao

yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao

pyaro phir fasl-e-bahaaran hai qarib aa jao

dur ho kar bhi sunin tum ne hikayat-e-wafa

qurb mein bhi wahi unwan hai qarib aa jao

hum mohabbat ke musafir hain kahin dekh na len

dhat mein gardish-e-dauran hai qarib aa jao

jaan pyari hai ki tum bhi ho meri jaan ke sath

gham-e-jaan hi gham-e-jaanan hai qarib aa jao

aaj duniya ko nahin apne ghamon se fursat

aaj mil baiThna aasan hai qarib aa jao

kis murawwat pe zamane se Daren dur rahen

aao allah nigahban hai qarib aa jao

mere hi pahlu-e-sozan mein sakun mumkin hai

chaar-su gardish-e-dauran hai qarib aa jao

jao ab jao ki wo ahd-e-wafa KHatm hua

jab bhi dekho ki phir imkan hai qarib aa jao

main zamane ki kaDi dhup ka mara hun 'zafar'

tum kahan ho chamanistan hai qarib aa jao

(1256) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao in PDF.