Gham Itne Apne Daman-e-dil Se LipaT Gae

gham itne apne daman-e-dil se lipaT gae

tujh se bichhaD ke hum kai qiston mein baT gae

kyun ye dayar mere liye tang sa laga

kya baat hai ki daman-e-sahra simaT gae

is se kahin bhi nam tumhaara nahin mila

hum har waraq kitab-e-wafa ke palaT gae

tum ghair se nibhao wafa hum ko bhul kar

jao tumhaari rah se hum aaj haT gae

ab jhelna paDega azab-e-gunah-e-ishq

us but-numa KHuda ke irade palaT gae

jab se mata-e-dard mili mujh ko ai 'zafar'

qad mere samne mere yaron ke ghaT gae

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Itne Apne Daman-e-dil Se LipaT Gae In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Gham Itne Apne Daman-e-dil Se LipaT Gae is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Gham Itne Apne Daman-e-dil Se LipaT Gae for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Gham Itne Apne Daman-e-dil Se LipaT Gae in PDF.