Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin

haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin

asal mein us aadmi mein KHu-e-insani nahin

aisi bedardi se us ko mat bahao KHak par

KHun-e-insan KHun-e-insan hai koi pani nahin

ruh ka rishta kabhi kya toD pai hai qaza

zindagi fani hai lekin ruh to fani nahin

jis ki KHushbu se moattar raat bhar rahta tha main

mere ghar ke pas ab wo raat ki rani nahin

main tajjub mein hun ye kaisa zamana aa gaya

chand mein ThanDak nahin suraj mein tabani nahin

phir tere upar na TuTe kyun azabon ka pahaD

tere andar ek zara bhi bu-e-imani nahin

yun na apne chahne wale ko ruswa kijiye

ye to andaz-e-suluk-e-dilbar-e-jaani nahin

kyun nahin tufan ka manzar teri chashm-e-shauq mein

kyun tere dariya-e-dil mein ab wo tughyani nahin

mutmain hai ishq bhi sham-e-alam ke bawajud

husn ke chehre pe bhi aks-e-pareshani nahin

ishq mein bhi tu na paega kahin mera jawab

jaan-e-man jo husn mein koi tera sani nahin

ai 'zafar' pale hue hain wo bhi duniya ki hawas

ab faqir-e-ishq mein bhi bu-e-irfani nahin

(1062) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin in PDF.