Mujhko Ta-umr TaDapne Ki Saza Hi Dena

mujh ko ta-umr taDapne ki saza hi dena

tujh ko manzur agar ho to bhula hi dena

ai gham-e-hijr wo tohmat jo lagae mujh par

meri be-laus mohabbat ki gawahi dena

ye alag baat ki ho jaun mohabbat mein tabah

tu na mujh ko kabhi ehsas-e-tabahi dena

wo jo majbur karen sharh-e-gham-e-furqat ko

ashk-amez nigahon se suna hi dena

un ke daman ko mah-o-mehr se karna mamur

mere hisse mein jahan bhar ki syahi dena

wo jawan ke kahin fitna-e-dauran na bane

husn ko fitrat-e-mashuq-nigahi dena

aaj bhi yaad hai ai dost inayat teri

wo tera itna hansana ki rula hi dena

mere har sher mein rudad-e-sitam hai un ki

ai 'zafar' meri ghazal un ko suna hi dena

(1667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Ta-umr TaDapne Ki Saza Hi Dena In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Mujhko Ta-umr TaDapne Ki Saza Hi Dena is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Mujhko Ta-umr TaDapne Ki Saza Hi Dena for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Mujhko Ta-umr TaDapne Ki Saza Hi Dena in PDF.