Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai

sirhane bebasi roti rahi hai

shab-e-gham zindagi roti rahi hai

shab-e-gham saneha kya ho gaya tha

bahr-su chandni roti rahi hai

ye meri shumi-e-qismat pe yaro

sahar tak shama bhi roti rahi hai

meri be-chaargi par bazm-e-anjum

kabhi hansti kabhi roti rahi hai

gulon ki muskurahaT yaad kar ke

gulistan mein kali roti rahi hai

KHalish hoti hai patthar ke bhi dil mein

buton ki aankh bhi roti rahi hai

tumhein kya hai KHabar tanhaiyon mein

sitamgar ki gali roti rahi hai

faqat aankhen nahin furqat ki shab mein

hamari ruh bhi roti rahi hai

'zafar' jab se hua tark-e-talluq

hamari shaeri roti rahi hai

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai in PDF.