Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun

tere qarib rahun ya ki main safar mein rahun

ye aarzu hai tere halqa-e-asar mein rahun

shafaq shafaq mujhe dekhe nigah-e-husn-e-shuur

naqib-e-mehr banun naghma-e-sahar mein rahun

yaqin ki chhanw mein tujh ko jo nind aa jae

main tere KHwab ki surat teri nazar mein rahun

jamal-e-shahid-e-mani pe jab nikhaar aae

KHayal-e-husn banun aur sher-e-tar mein rahun

ye chahta hun ki maiKHane tak rasai ho

agar sifal banun dast-e-kuza-gar mein rahun

kabhi phirun main bayaban-e-dil mein sargardan

kabhi nigar-e-kam-amez ki nazar mein rahun

banaen ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko

ghubar ban ke agar teri rahguzar mein rahun

tera jamal-e-dil-ara rahe tasawwur mein

gulon ki bazm ki main chand ke nagar mein rahun

dua-e-nim-shabi wo kare meri KHatir

kuchh aisa ban ke dil-e-husn-e-ishwa-gar mein rahun

mere nasib mein ho tere nam ki surKHi

ki jis ka tujh se talluq ho us KHabar mein rahun

kisi ki bazm mein jaane se faeda kya hai

mere liye yahi behtar hai apne ghar mein rahun

banun main tere liye wajah-e-lutf-e-lafani

ziya-e-ishq ki surat dil-o-jigar mein rahun

teri hi samt hamesha ho mera qibla-e-dil

hamesha mahw tere husn-e-mo'atabar mein rahun

'zafar' ye mere liye to azab-e-jaan hoga

KHuda na-karda ki main shahr-e-be-hunar mein rahun

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Tere Qarib Rahun Ya Ki Main Safar Mein Rahun in PDF.