Ye Jo Teri Aankhon Mein Mani-e-wafa Sa Hai
ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai
kasa-e-tamanna ke harf-e-muddaa sa hai
mere KHun ki surKHi surKHi-e-wafa Thahri
jis se ru-e-qatil bhi surKH-ru bana sa hai
qatl-gah-e-arman hai jis ki mahfil-e-ishrat
wo nigar-e-fitna-za paikar-e-wafa sa hai
jab se mujh ko hasil hai tere qurb ki daulat
naqsh-e-sang-e-painda mujh pe aaina sa hai
lafz aur mani ka ye talluq-e-baham
pesh-e-dida-e-bina rishta-e-wafa sa hai
raKHsh-e-fikr ko apne kijiye zara mahmez
nau-ba-nau mazamin ka dar abhi khula sa hai
bab-e-shahr-e-irfan ke nur-e-chashm ka hai faiz
parcham-e-jahul-e-waqt jo jhuka jhuka sa hai
dushmanon ke narghe mein main khaDa hun tanha sa
marka mohabbat ka jang-e-karbala sa hai
honT tere phulon se baat teri KHushbu si
rup chand sa tera dil bhi aaina sa hai
parcham-e-mohabbat hai jab se mere hathon mein
dard dil-nashin sa hai zaKHm dil-ruba sa hai
dam mein sar uThata hai dam mein TuT jata hai
dil bhi bahr-e-ulfat mein koi bulbula sa hai
shor-e-hashr barpa hai ya ki shor-e-tanhai
hain bujhi bujhi aankhen dil Dara Dara sa hai
wo nigah-e-jaanan ka ghamza-e-bala-angez
mushaf-e-mohabbat ke harf-e-ibtida sa hai
mere dil ki KHatir to ye fasana-e-hasti
zaKHm-e-be-rafu sa hai dard-e-la-dawa sa hai
bas teri nigahon mein ehtijaj hai baatil
har jafa munasib si har sitam rawa sa hai
nind kyun nahin aati KHwab KHwab aankhon ko
shahr-e-jaan mein har jaanib kyun ye rat-jaga sa hai
chehra-e-mohabbat par hai usi se tabani
ye ghubar pa-e-naz ghaza-e-wafa sa hai
mujh ko mil hi jaegi ek na ek din manzil
bas isi tawaqqo par dil mein hausla sa hai
kaun hai jo rakhta hai dost is qadar mujh ko
ajnabi si duniya mein kaun aashna sa hai
ai 'zafar' na chhoDega wo mujhe dua dena
yun to hai wo barham sa yun to wo KHafa sa hai
(1367) Peoples Rate This