Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta

ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta

magar Thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta

yahi ek baat ab main sochta rahta hun KHalwat mein

na jaane kyun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta

karam karte nahin kyun tum mere qalb-e-shikasta par

mera yun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta

nigahon se jo ojhal us gul-e-rana ka jalwa hai

ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta

udhar wo bhi bichhaD ke hum se khoe khoe rahte hain

akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta

uThi hai jab se ye diwar-e-nafrat dal ke aangan mein

mujhe ai dosto KHud apna ghar achchha nahin lagta

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta in PDF.