Sar Mein Sauda Bhi Wahi Kucha-e-qatil Bhi Wahi

sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi

raqs-e-bismil bhi wahi shor-e-salasil bhi wahi

baat jab hai ki har ek phul ko yaksan samjho

sab ka aameza wahi aab wahi gil bhi wahi

Dub jata hai jahan Dubna hota hai jise

warna pairak ko dariya wahi sahil bhi wahi

dekhna chaho to zaKHmon ka charaghan har-samt

mahfil-e-ghair wahi anjuman-e-dil bhi wahi

kaise mumkin hai ki qatil hi masiha ho jae

us ki niyat bhi wahi dawa-e-baatil bhi wahi

tum samajhte nahin 'anwar' to KHata kis ki hai

rah hai roz-e-azal se wahi manzil bhi wahi

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Mein Sauda Bhi Wahi Kucha-e-qatil Bhi Wahi In English By Famous Poet Zafar Anwar. Sar Mein Sauda Bhi Wahi Kucha-e-qatil Bhi Wahi is written by Zafar Anwar. Read famous Poem Sar Mein Sauda Bhi Wahi Kucha-e-qatil Bhi Wahi for youth and Student by Zafar Anwar. Free Download Sar Mein Sauda Bhi Wahi Kucha-e-qatil Bhi Wahi in PDF.