Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai

zahr-e-gham dil mein samone bhi nahin deta hai

karb-e-ehsas ko khone bhi nahin deta hai

dil ki zaKHmon ko kiya karta hai taza har-dam

phir sitam ye hai ki rone bhi nahin deta hai

ashk-e-KHun dil se umanD aate hain dariya ki tarah

daman-e-chashm bhigone bhi nahin deta hai

uThna chahen to gira deta hai phir Thokar se

be-KHudi chahen to hone bhi nahin deta hai

har ghaDi lagti hai 'anwar' pe nai ek tohmat

kisi ilzam ko dhone bhi nahin deta hai

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai In English By Famous Poet Zafar Anwar. Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai is written by Zafar Anwar. Read famous Poem Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai for youth and Student by Zafar Anwar. Free Download Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai in PDF.