Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza

sat rangon se bani hai yaad taza

dhup likh lai mubarakbaad taza

ban gai jannat to hijrat kar gae hain

nau-ba-nau hai dasht-e-jaan aabaad taza

lafz o mani ka ziyan hai KHud-azabi

lauh-e-dil par hai qalam ki dad taza

aab-e-taza KHanjar-e-KHamosh ko de

hai burida lab pe phir fariyaad taza

phir bahane jaega lawa lahu ka

KHisht-e-dil par ghar ki rakh buniyaad taza

be-charaghan bastiyon ko zindagi de

ek sitam aisa bhi kar ijad taza

aisi chup se aur dil ghuTne laga hai

kuchh to ho ruh-e-nawa irshad taza

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza in PDF.