Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun

shab ke tarik samundar se guzar aaya hun

TuTa tara hun KHalaon se utar aaya hun

tujh se jo ho na saka kaam wo kar aaya hun

aasman chhoD ke dharti pe utar aaya hun

dasht-e-tanhai mein bikhra hun hawaon ki tarah

ek sada ban ke dil-e-sang mein dar aaya hun

jaane kis KHauf se phirta hun main ghabraya hua

kya bala ban ke main KHud apne hi sar aaya hun

dil-shikasta se dar-o-baam ki muddat ke baad

KHairiyat puchhne ujDe hue ghar aaya hun

shoKH raaton ke liye mere taaqub mein na aa

dard ka chand hun KHwabon mein nazar aaya hun

apna saya bhi 'zafar' mujh ko na pahchan saka

kis nae bhes mein main aaj idhar aaya hun

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun in PDF.