Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke

shoale se chaTakte hain har sans mein KHushbu ke

aai hai saba shayad wo phul sa tan chhu ke

ehsas ke jangal mein ek aag bhaDakti hai

jhonke kisi gulshan mein hain raqs-kunan lu ke

auron ne bhi puja hai ai dost tujhe lekin

yaksan to nahin hote jazbaat man-o-tu ke

ye ahd-e-tamanna bhi ek daur-e-qayamat hai

jab husn piye aansu aur ishq lahu thuke

hum KHosha-e-gandum ko jannat se yahan lae

phir bhi tere diwane duniya mein rahe bhuke

wo dard ko chinta tha palkon se sitaron ko

naghmon mein badalta hai ehsas ke lab chhu ke

kuchla hai bahut dil ko sangin haqaeq ne

phir bhi na 'zafar' bhule qisse ruKH-o-gesu ke

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke in PDF.