Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka

ashk-e-gham aankh se bahar bhi nahin aane ka

abr chhaT jaen wo manzar bhi nahin aane ka

ab ke aaghaz-e-safar soch samajh ke karna

dasht milne ka nahin ghar bhi nahin aane ka

hae kya hum ne taDapne ka sila paya hai

aisa aaram jo aa kar bhi nahin aane ka

ahd-e-'ghaalib' se ziyaada hai mere ahd ka karb

ab to kuze mein samundar bhi nahin aane ka

sabza diwar pe ug aaya 'zafar' KHush ho lo

aage aankhon mein ye manzar bhi nahin aane ka

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka in PDF.