Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabani Se Niklunga

badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga

main suraj ban ke ek din apni peshani se niklunga

nazar aa jaunga main aansuon mein jab bhi rooge

mujhe miTTi kiya tum ne to main pani se niklunga

tum aankhon se mujhe jaan ke safar ki mat ijazat do

agar utra lahu mein phir na aasani se niklunga

main aisa KHub-surat rang hun diwar ka apni

agar nikla to ghar walon ki nadani se niklunga

zamir-e-waqt mein paiwast hun main phans ki surat

zamana kya samajhta hai ki aasani se niklunga

yahi ek shai hai jo tanha kabhi hone nahin deti

'zafar' mar jaunga jis din pareshani se niklunga

(2870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabani Se Niklunga In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabani Se Niklunga is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabani Se Niklunga for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Badan Kajla Gaya To Dil Ki Tabani Se Niklunga in PDF.