Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De

dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de

ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de

ab bhik mangne ke tariqe badal gae

lazim nahin ki hath mein kasa dikhai de

neze pe rakh ke aur mera sar buland kar

duniya ko ek charagh to jalta dikhai de

dil mein tere KHayal ki banti hai ek dhanak

suraj sa aaine se guzarta dikhai de

chal zindagi ki jot jagae ajab nahin

lashon ke darmiyan koi rasta dikhai de

kya kam hai ki wajud ke sannaTe mein 'zafar'

ek dard ki sada hai ki zinda dikhai de

(1312) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De in PDF.