Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega

zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega

tujhe aisa kushada aasman koi nahin dega

abhi zinda hain hum par KHatm kar le imtihan sare

hamare baad koi imtihan koi nahin dega

jo pyase ho to apne sath rakkho apne baadal bhi

ye duniya hai wirasat mein kuan koi nahin dega

milenge muft sholon ki qabaen banTne wale

magar rahne ko kaghaz ka makan koi nahin dega

KHud apna aks bik jae asir-e-aina ho kar

yahan is dam par nam o nishan koi nahin dega

hamari zindagi bewa dulhan bhigi hui lakDi

jalenge chupke chupke sab dhuan koi nahin dega

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega in PDF.