To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein

to phir main kya agar anfas ke sab tar gum us mein

mere hone na hone ke sabhi aasar gum us mein

meri aankhon mein ek mausam hamesha sabz rahta hai

KHuda jaane hain aise kaun se ashjar gum us mein

hazaron sal chal kar bhi abhi KHud tak nahin pahunchi

ye duniya kash ho jae kabhi ek bar gum us mein

wo jaisa abr bheje jo hawa sar par chalae wo

mere dariya mere sahra mere kohsar gum us mein

nahin malum aaKHir kis ne kis ko tham rakkha hai

wo mujh mein gum hai aur mere dar o diwar gum us mein

'zafar' us ke the hum to kab talak us se alag rahte

hue hum ek din hona tha aaKHir-kar gum us mein

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein in PDF.