Silsile Ke Baad Koi Silsila Raushan Karen

silsile ke baad koi silsila raushan karen

ek diya jab sath chhoDe dusra raushan karen

is tarah to aur bhi kuchh bojh ho jaegi raat

kuchh kahen koi charagh-e-waqia raushan karen

jaane wale sath apne le gae apne charagh

aane wale log apna rasta raushan karen

jalti bujhti raushni ka khel bachchon ko dikhaen

shama rakkhen hath mein ghar mein hawa raushan karen

aagahi danish dua jazba aqida falsafa

itni qabren hae kis kis par diya raushan karen

sham yaadon se moattar hai munawwar hai 'zafar'

aaj KHushbu ke wazu se dast o pa raushan karen

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsile Ke Baad Koi Silsila Raushan Karen In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Silsile Ke Baad Koi Silsila Raushan Karen is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Silsile Ke Baad Koi Silsila Raushan Karen for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Silsile Ke Baad Koi Silsila Raushan Karen in PDF.