Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun

main zindagi ka naqsha tartib de raha hun

phir ek jadid KHaka tartib de raha hun

har saz ka tarannum yaksaniyat-numa hai

ek taza-kar naghma tartib de raha hun

jis mein teri tajalli KHud aa ke ja-guzin ho

dil mein ek aisa gosha tartib de raha hun

lamhon ke silsile mein jita raha hun lekin

main apna KHas lamha tartib de raha hun

kitne ajib qisse likkhe gae abhi tak

main bhi anokha qissa tartib de raha hun

zarron ka hai ye tufan be-chehragi ba-daman

zarron se ek chehra tartib de raha hun

duniya ke sare rishte be-mani lag rahe hain

KHaliq se apna rishta tartib de raha hun

pur-pech raston par chalta hua 'zafar' main

sidha sa ek rasta tartib de raha hun

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun In English By Famous Poet Zafar Hameedi. Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun is written by Zafar Hameedi. Read famous Poem Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun for youth and Student by Zafar Hameedi. Free Download Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun in PDF.