Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin

dard bahta hai dariya ke sine mein pani nahin

us ka chaTTan pe sar paTakna kahani nahin

baat pahunche samaat ko tasir de kis tarah

lafz hain aur lafzon mein zor-e-bayani nahin

TuT jaegi diwar jitni bhi mazbut ho

us ke ehsas ki dhup bhi saebani nahin

kya samajh-bujh kar hum bhi apna KHuda ho gae

jaise duniya hamesha ki ho dar-e-fani nahin

Dubte Dubte naw pahunchegi ek din zarur

mere sahil pe dariya teri mehrbani nahin

hum sabhi ek rishte ki manjdhaar mein qaid hain

chiKHna kashtiyon ka 'zafar' be-maani nahin

(1367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin In English By Famous Poet Zafar Imam. Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin is written by Zafar Imam. Read famous Poem Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin in PDF.