Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai

dhup nikli kabhi baadal se Dhaki rahti hai

raat din apni hi aaankhon mein jagi rahti hai

dekhte jaiye milne ka ye andaz bhi ek

honT pe thoDi murawwat ki hansi rahti hai

kya samundar ko bhi KHatra hai ki is mein koi

kulbulati hui bechain nadi rahti hai

ek nazar dekhti jaengi hamari aanhken

band dil mein koi khiDki bhi khuli rahti hai

saf jazbon ke hawale se to gham hain lekin

ek lamhe ki KHushi ek sadi rahti hai

dekh lete hain andhere mein bhi rasta apna

shama ehsas ke manind jali rahti hai

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai In English By Famous Poet Zafar Imam. Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai is written by Zafar Imam. Read famous Poem Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai in PDF.