Ek Nadi Mein SaikDon Dariya Ki Tughyani Mili

ek nadi mein saikDon dariya ki tughyani mili

Dubne wale ko mar jaane ki aasani mili

hashiya-bardar se puchha samundar ne miyan

aaj tak ek mauj bhi tum ko na diwani mili

sar-phiri pagal hawa ko rokna dushwar tha

ek hi din ke liye thi us ko sultani mili

tishna-lab talab ne baadal ko phir dhoka diya

phir wahi sahra wahi sahra ki virani mili

har safar se kashtiyon ka lauTna mumkin nahin

kya pata kab lahr koi dushman-e-jaani mili

aage pichhe sab ko maqtal se guzarna hai 'zafar'

kyun samajhte hain ki hum ko hi pareshani mili

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nadi Mein SaikDon Dariya Ki Tughyani Mili In English By Famous Poet Zafar Imam. Ek Nadi Mein SaikDon Dariya Ki Tughyani Mili is written by Zafar Imam. Read famous Poem Ek Nadi Mein SaikDon Dariya Ki Tughyani Mili for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Ek Nadi Mein SaikDon Dariya Ki Tughyani Mili in PDF.