Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala

main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala

apne ghar ki barbaadi par main hi sar ko dhunne wala

jiwan ka sangit achanak antim sur ko chhu leta hai

hansta hi rahta hai phir bhi mere andar marne wala

rishte bosida diwaron ke jaise Dhah jaen pal mein

lekin main bhi diwaron ke malbe se sar chunne wala

lafzon ke panw ko chhu kar aashirwadi lahje mein

meri ghazlon mein bhi ek jazba hai dil ko chhune wala

thoDi si mohlat milti to papon se main hi bhar leta

jiwan ka ek suffa bhi tha kaise sada rahne wala

main apne dukh ke sagar mein koi patthar phekun kaise

barson tak na-mumkin hai wo lauTe lahren ginne wala

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala In English By Famous Poet Zafar Imam. Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala is written by Zafar Imam. Read famous Poem Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala in PDF.