Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya

mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya

sar se panw tak utarna tha utarta rah gaya

barishon ne phir wahi zahmat uThai der se

ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya

zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire

aur mere dil ka suffa yun hi sada rah gaya

pahli barish hi mein taqwa ke nishan sab dhul gae

sar mein ek TuTa hua mazlum sajda rah gaya

kaise hoga ab KHudai bandagi ka faisla

shahr ke sare KHuda mein ek banda rah gaya

jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha

zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya In English By Famous Poet Zafar Imam. Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya is written by Zafar Imam. Read famous Poem Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya in PDF.