Dariya Guzar Gae Hain Samundar Guzar Gae

dariya guzar gae hain samundar guzar gae

pyasa raha main kitne hi manzar guzar gae

us jaisa dusra na samaya nigah mein

kitne hasin aankhon se paikar guzar gae

kuchh tir mere sine mein paiwast ho gae

kuchh tir mere sine se bahar guzar gae

aansu bayan karne se qasir rahe jinhen

kya kya na zaKHm zat ke andar guzar gae

ek choT dil pe lagti rahi hai tamam shab

dil ki zamin se yaadon ke lashkar guzar gae

wo zabt tha ki aah na nikli zaban se

dil pe hamare kitne hi KHanjar guzar gae

manzil thi wo ki hoti gai dur hi 'zafar'

kitne hi rah mein mil ke patthar guzar gae

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Guzar Gae Hain Samundar Guzar Gae In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Dariya Guzar Gae Hain Samundar Guzar Gae is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Dariya Guzar Gae Hain Samundar Guzar Gae for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Dariya Guzar Gae Hain Samundar Guzar Gae in PDF.