Dil-o-nigah Ko Viran Kar Diya Maine

dil-o-nigah ko viran kar diya main ne

shikast-e-KHwab ka elan kar diya main ne

jo tir aae the us ki taraf se sine par

saja ke zaKHmon ka gul-dan kar diya main ne

ghamon ka taj mere sar pe jab se rakkha hai

KHud apne aap ko sultan kar diya main ne

na koi phul hi rakha na aarzu na charagh

tamam ghar ko bayaban kar diya main ne

wo chahta tha ki sab kuchh luTa ke zinda rahun

lo aaj pura ye arman kar diya main ne

main zad pe tiron ke KHud aa gaya hun aaj 'zafar'

tere nishane ko aasan kar diya main ne

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-o-nigah Ko Viran Kar Diya Maine In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Dil-o-nigah Ko Viran Kar Diya Maine is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Dil-o-nigah Ko Viran Kar Diya Maine for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Dil-o-nigah Ko Viran Kar Diya Maine in PDF.