Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai

ek ek pal tera nayab bhi ho sakta hai

hausla ho to zafar-yab bhi ho sakta hai

biphri maujon se ulajhne ka saliqa hai agar

ye samundar kabhi payab bhi ho sakta hai

umr tapte hue sahra mein basar ki jis ne

to sarabon se wo sairab bhi ho sakta hai

aap dariya ki rawani se na uljhen hargiz

tah mein us ke koi girdab bhi ho sakta hai

lakh moti hi sahi waqt ki gardish mein kabhi

qimti kitna ho be-ab bhi ho sakta hai

jis ko majbur hua hai to khurachne pe 'zafar'

teri aankhon ka hasin KHwab bhi ho sakta hai

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai in PDF.