Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai

jis rose se apna mujhe idrak hua hai

har lamha meri zist ka saffak hua hai

ghar se to nikal aae ho socha nahin kuchh bhi

ab soch rahe ho jo badan chaak hua hai

tahzib hi baqi hai na ab sharm-o-haya kuchh

kis darja ab insan ye bebak hua hai

guzra hai koi saneha basti mein hamari

har shaKHs ka chehra yahan ghamnak hua hai

uftad zamane ki paDi aisi hai mujh par

tha jo bhi asasa KHas-o-KHashak hua hai

aandhi thi wo nafrat ki ki insan tha andha

hain shoale uThe aise ki sab KHak hua hai

aslaf ke aqdar ko apnaya hai jis ne

pasti mein raha phir bhi wo aflak hua hai

rakha hai qadam jis ne siyasat ke safar par

wo shaKHs 'zafar' sahab-e-imlak hua hai

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai in PDF.