Aag Ka Rishta Nikal Aae Koi Pani Ke Sath

aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath

zinda rah sakta hun aisi hi KHush-imkani ke sath

tum hi batlao ki us ki qadr kya hogi tumhein

jo mohabbat muft mein mil jae aasani ke sath

baat hai kuchh zinda rah jaana bhi apna aaj tak

lahar thi aasudgi ki bhi pareshani ke sath

chal raha hai kaam sara KHub mil-jul kar yahan

kufr bhi chimTa hua hai jazb-e-imani ke sath

farq paDta hai koi logon mein rahne se zarur

shahr ke aadab the apni bayabani ke sath

ye wo duniya hai ki jis ka kuchh Thikana hi nahin

hum guzara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath

raegani se zara aage nikal aae hain hum

is dafa to kuchh girani bhi hai arzani ke sath

apni marzi se bhi hum ne kaam kar Dale hain kuchh

lafz ko laDwa diya hai beshtar mani ke sath

faslon hi faslon mein jaan se haara 'zafar'

ishq tha lahoriye ko ek multani ke sath

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Ka Rishta Nikal Aae Koi Pani Ke Sath In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Aag Ka Rishta Nikal Aae Koi Pani Ke Sath is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Aag Ka Rishta Nikal Aae Koi Pani Ke Sath for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Aag Ka Rishta Nikal Aae Koi Pani Ke Sath in PDF.