Aatash O Injimad Hai Mujh Mein

aatash o injimad hai mujh mein

kaisa kaisa tazad hai mujh mein

KHwab se pahle kuchh nahin yaksar

jo bhi hai us ke baad hai mujh mein

zaKHm khulte hain sans ghuTti hai

aisi bast-o-kushad hai mujh mein

ranj-e-dil hai hara bhara ab tak

koi to hai jo shad hai mujh mein

dushmani ka hi rah gaya sarokar

warna kis ka mafad hai mujh mein

koi is ka sabab nahin tu hi

ye jo itna fasad hai mujh mein

koi jalsa hai zor ka jaise

jis ka ye iniqad hai mujh mein

jise ab tak talash karta hun

gum-shuda ek yaad hai mujh mein

aandhiyan si jo chal rahi hain 'zafar'

surat-e-KHak-o-baad hai mujh mein

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aatash O Injimad Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Aatash O Injimad Hai Mujh Mein is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Aatash O Injimad Hai Mujh Mein for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Aatash O Injimad Hai Mujh Mein in PDF.