Aisi Koi Darpesh Hawa Aai Hamare

aisi koi darpesh hawa aai hamare

jo sath hi patte bhi uDa lai hamare

wo abr ki chhaya raha aankhon ke ufuq par

wo barq jo andar kahin lahrai hamare

dekha hai bahut KHwab-e-mulaqat bhi har-ros

hisse mein jo ab aai hai tanhai hamare

is bar mili hai jo natije mein burai

kaam aai hai apni koi achchhai hamare

the hi nahin maujud to kyun KHalq ne us ki

chaaron taraf afwah si phailai hamare

phir jhuT ki is mein hamein karni hai milawaT

phir ras nahin aaegi sachchai hamare

Darte hue khola to hai ye bab-e-taaruf

paD jae gale hi na shanasai hamare

dawa to bahut ramz-shanasi ka use tha

ye KHalq ishaare na samajh pai hamare

chal bhi diye dikhla ke tamasha to 'zafar' hum

baiThe rahe ta-der tamashai hamare

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi Koi Darpesh Hawa Aai Hamare In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Aisi Koi Darpesh Hawa Aai Hamare is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Aisi Koi Darpesh Hawa Aai Hamare for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Aisi Koi Darpesh Hawa Aai Hamare in PDF.