Badla Ye Liya Hasrat-e-izhaar Se Humne

badla ye liya hasrat-e-izhaar se hum ne

aaghaz kiya apne hi inkar se hum ne

darwaza nahin apne sarokar mein shamil

hai rabta rakkha hua diwar se hum ne

imkan sa khola hua sahil ki hawa par

ummid si bandhi hui us par se hum ne

apni hi bigaDi hui surat ke alawa

kuchh aur nikala nahin tumar se hum ne

is ka bhi koi faeda pahuncha na kisi ko

aasan jo baramad kiya dushwar se hum ne

manzil jo hamari thi kahin rah gai pichhe

ye kaam liya tundi-e-raftar se hum ne

ye dhup hi thi apni guzargah so rakkha

ek fasla bhi saya-e-ashjar se hum ne

jaancha hai kisi aur tariqe se ye sab kuchh

parkha hai kisi apne hi mear se hum ne

us ki bhi ada ki hai 'zafar' aaj to qimat

jo chiz KHaridi nahin bazar se hum ne

(2519) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badla Ye Liya Hasrat-e-izhaar Se Humne In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Badla Ye Liya Hasrat-e-izhaar Se Humne is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Badla Ye Liya Hasrat-e-izhaar Se Humne for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Badla Ye Liya Hasrat-e-izhaar Se Humne in PDF.