Ba-zahir Sehat Achchhi Hai Jo Bimari Ziyaada Hai
ba-zahir sehat achchhi hai jo bimari ziyaada hai
isi KHatir buDhape mein hawas-kari ziyaada hai
chale ga kis tarah se karobar-e-shauq is surat
rasad kuchh bhi nahin hai aur talabgari ziyaada hai
mohabbat kaam hai jis tarah ka bas dekhte jao
ruka rahta bhi hai aksar magar jari ziyaada hai
hamein KHud bhi yaqin aata nahin is ka jo ye hum par
giran-bari ki nisbat se subuk-sari ziyaada hai
suragh is ka kahin andar to kuchh milta nahin be-shak
ye haalat wo hai jo hum par abhi tari ziyaada hai
uTha sakte nahin jab chum kar hi chhoDna achchha
mohabbat ka ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
hifazat hi hamara masala tha roz-e-awwal se
so apne ird-gird ab chaar-diwari ziyaada hai
imarat ye mukammal hone wali hi nahin lagti
ki is tamir mein kuchh rang-e-mismari ziyaada hai
zaruri ho to kar denge 'zafar' tardid bhi jari
bayan-e-ishq apna ab ke aKHbari ziyaada hai
(1321) Peoples Rate This