Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai

ek hi bar nahin hai wo dobara kam hai

main wo dariya hun jise apna kinara kam hai

wahi takrar hai aur ek wahi yaksani

is shab-o-roz mein ab apna guzara kam hai

mere din raat mein karna nahin ab is ko shumar

hissa-e-umr koi main ne guzara kam hai

main ziyaada hun bahut us ke liye ab tak bhi

aur mere liye wo sare ka sara kam hai

us ki apni bhi tawajjoh nahin mujh par koi KHas

aur main ne bhi abhi us ko pukara kam hai

aaj pani jo uchhalta nahin pahle ki tarah

aisa lagta hai ki is mein koi dhaara kam hai

hath pair aap hi main mar raha hun filhaal

Dubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai

main to rakhta hun bahut rose ke rose in ka hisab

aasman par koi aaj ek sitara kam hai

pesh-raft aur abhi mumkin bhi nahin hai ki 'zafar'

abhi us shoKH pe kuchh zor hamara kam hai

(1074) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Ek Hi Bar Nahin Hai Wo Dobara Kam Hai in PDF.