Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho

had ho chakki hai sharm-e-shakebai KHatm ho

behtar hai ab dua ki pazirai KHatm ho

lenge hisab mujh se abhi lafz lafz ka

yani zara ye anjuman-arai KHatm ho

dekha hai is nawah mein wo kuchh ki ai KHuda

ab to yahi dikha ki ye binai KHatm ho

mumkin hai muntazir ho koi KHak-e-KHush-KHisal

shayad kahin ye sahil-e-ruswai KHatm ho

hai dud KHak-dar bahut pak ho hawa

pani hai zer-e-bar bahut kai KHatm ho

KHush-rang mein ghula hua bad-rang ho juda

aur shor mein chhupi hui tanhai KHatm ho

apne muqabil aap hi aa jaunga kabhi

tang aa chuka hun ab meri yaktai KHatm ho

aakar wo meri baat sune aur jawab de

gar yun nahin to phir ye shanasai KHatm ho

bazar-e-bosa tez se hai tez-tar 'zafar'

ummid to nahin ki ye mahngai KHatm ho

(1007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Had Ho Chakki Hai Sharm-e-shakebai KHatm Ho in PDF.