Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage

hai aur baat bahut meri baat se aage

zamin zarra hai is kaenat se aage

ek aur silsila-e-hadsat hai raushan

is ek silsila-e-hadsat se aage

hawa-e-aks-e-bahaar-o-KHizan nahin hai faqat

agar nigah karo phul pat se aage

ye hum jo peT se hi sochte hain sham o sahar

kabhi to jaenge is dal-bhat se aage

kuchh aur tarah ke atraf muntazir hain kahin

uThaen zahmat agar shash-jahat se aage

na rok pae taghayyur ki tez tughyani

jo band bandhne aae sabaat se aage

kuen mein baiTh ke hi TarTara gae kuchh din

nazar paDa nahin kuchh apni zat se aage

is aab o rang se bahar bhi ek tamasha hai

chale-chalo jo nazar ki sifat se aage

'zafar' ye din to natija hai raat ka yaksar

kuchh aur DhunDta rahta hun raat se aage

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Hai Aur Baat Bahut Meri Baat Se Aage in PDF.