Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai

jo banda-e-KHuda tha KHuda hone wala hai

kya kuchh abhi to jalwa-numa hone wala hai

ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main

hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai

kuchh ashk-e-KHun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein

jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai

wo waqt hai ki KHalq pe har zulm-e-na-rawa

allah ka nam le ke rawa hone wala hai

ek KHauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin

ek KHwab hai ki sab se juda hone wala hai

rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi

koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai

KHush tha siyah-KHana-e-dil mein bahut lahu

is qaid se magar ye riha hone wala hai

ye tir aaKHiri hai bas us ki kaman mein

aur wo bhi dekh lena KHata hone wala hai

ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'

ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai

(1191) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Jo Banda-e-KHuda Tha KHuda Hone Wala Hai in PDF.