KHush Bahut Phirte Hain Wo Ghar Mein Tamasha Kar Ke

KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke

kaam nikla to hai un ka mujhe ruswa kar ke

rok rakhna tha abhi aur ye aawaz ka ras

bech lena tha ye sauda zara mahnga kar ke

is taraf kaam hamara to nahin hai koi

aa nikalte hain kisi sham tumhaara kar ke

miT gai hai koi muDti hui si mauj-e-hawa

chhup gaya hai koi tara sa ishaara kar ke

farq itna na sahi ishq o hawas mein lekin

main to mar jaun tera rang bhi maila kar ke

saf-o-shaffaf thi pani ki tarah niyat dil

dekhne walon ne dekha ise gadla kar ke

shauq se kijiye aur der na farmaiyega

kuchh agar aap ko mil jaega aisa kar ke

yun bhi sajti hai badan par ye mohabbat kya kya

kabhi pahnun isi malbus ko ulTa kar ke

mujh se chhuDwae mere sare usul us ne 'zafar'

kitna chaalak tha mara mujhe tanha kar ke

(4362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush Bahut Phirte Hain Wo Ghar Mein Tamasha Kar Ke In English By Famous Poet Zafar Iqbal. KHush Bahut Phirte Hain Wo Ghar Mein Tamasha Kar Ke is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem KHush Bahut Phirte Hain Wo Ghar Mein Tamasha Kar Ke for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download KHush Bahut Phirte Hain Wo Ghar Mein Tamasha Kar Ke in PDF.