Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe

khinch lai hai yahan lazzat-e-azar mujhe

jahan pani na mile aaj wahan mar mujhe

dhup zalim hi sahi jism tawana hai abhi

yaad aaega kabhi saya-e-ashjar mujhe

sal-ha-sal se KHamosh the gahre pani

ab nazar aae hain aawaz ke aasar mujhe

bagh ki qabr pe rote hue dekha tha jise

nazar aaya wahi saya sar-e-diwar mujhe

gir ke sad para hua abr mein aTka hua chand

sar pe chadar si nazar aai shab-e-tar mujhe

sans mein tha kisi jalte hue jangal ka dhuan

sair-e-gulzar dikhate rahe bekar mujhe

raat ke dasht mein TuTi thi hawa ki zanjir

subh mahsus hui ret ki jhankar mujhe

wahi jama ki mere tan pe na Thik aata tha

wahi inam mila aaqibat-e-kar mujhe

jab se dekha hai 'zafar' KHwab-e-shabistan-e-KHayal

bistar-e-KHak pe sona hua dushwar mujhe

(1115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Khinch Lai Hai Yahan Lazzat-e-azar Mujhe in PDF.