KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo

khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo

kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans

aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo

kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman

chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo

ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar

phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo

main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar

aur mere haal-e-dil se be-KHabar kaisa hai wo

us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi

kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo

(1489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo In English By Famous Poet Zafar Iqbal. KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download KhiDkiyan Kis Tarah Ki Hain Aur Dar Kaisa Hai Wo in PDF.