Kis Nae KHwab Mein Rahta Hun Duboya Hua Main

kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main

ek muddat hui jaga nahin soya hua main

meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai

sukhne Dal diya jaun jo dhoya hua main

mujhe bahar nahin saman ke andar DhunDo

mil bhi sakta hun kisi shai mein samoya hua main

bazyabi ki tawaqqo hi kisi ko nahin ab

apni duniya mein hun is tarha se khoya hua main

sham ki aaKHiri aahaT pe dahalta hua dil

subh ki pahli hawaon mein bhigoya hua main

aasman par koi konpal sa nikal aaunga

sal-ha-sal se is KHak mein boya hua main

kabhi chahun bhi to ab ja bhi kahan sakta hun

is tarah se tere kanTe mein piroya hua main

mere kahne ke liye baat nai thi na koi

kah ke chup hogae sab log to goya hua main

muskuraate hue milta hun kisi se jo 'zafar'

saf pahchan liya jaata hun roya hua main

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Nae KHwab Mein Rahta Hun Duboya Hua Main In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kis Nae KHwab Mein Rahta Hun Duboya Hua Main is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kis Nae KHwab Mein Rahta Hun Duboya Hua Main for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kis Nae KHwab Mein Rahta Hun Duboya Hua Main in PDF.