Kuchh Bhi Na Uski Zinat-o-zebai Se Hua

kuchh bhi na us ki zinat-o-zebai se hua

jitna fasad hai meri yaktai se hua

lagta hai itna waqt mere Dubne mein kyun

andaza mujh ko KHwab ki gahrai se hua

lazim tha jast bharne ki KHatir ye kaam bhi

waqif main apne aap ka paspai se hua

kafi tha yun to rang-e-tamasha ba-zat-e-KHud

jo bach raha wo kaam tamashai se hua

hun kis qadar kisi ke shumar o qatar mein

zahir wahan pe apni pazirai se hua

kamzoriyan hamari huin wa-shgaf jab

apna bhi hashr puri tawanai se hua

jo asl chiz thi wo chhupi rah gai kahin

kuchh faeda na hashiya-arai se hua

khulna tha apne aib o hunar ka bharam kahan

ye bhi hua to qafiya-paimai se hua

hangama garm hai jo mere chaar-su 'zafar'

so bhi hujum se nahin tanhai se hua

(1248) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Na Uski Zinat-o-zebai Se Hua In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kuchh Bhi Na Uski Zinat-o-zebai Se Hua is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kuchh Bhi Na Uski Zinat-o-zebai Se Hua for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kuchh Bhi Na Uski Zinat-o-zebai Se Hua in PDF.