Koi Kinaya Kahin Aur Baat Karte Hue

koi kinaya kahin aur baat karte hue

koi ishaara zara dur se guzarte hue

mere lahu ki lapak mein rahe wo hath wo panw

kuchh aaine se kahin Dubte ubharte hue

sharar-e-bosa hi us sang-e-lab se ho paida

ki mere sar mein kai lafz hain ThiThurte hue

na saKHt-gir tha wo aur na main hi be-himmat

par us ko hath lagaya hai aaj Darte hue

jalaenge nam-e-sahil pe kashtiyan apni

is aab-zar-e-tamasha mein panw dharte hue

guzar hi jaegi sar se kahin to mauj-e-hawas

kabhi to sharm use aaegi mukarte hue

hawas mein hain kahin KHauf ke nasheb o faraaz

jo KHud se bhagta hun rah mein Thaharte hue

ye kaam aur to ab kaun hi karega yahan

sameTta bhi rahun jism ko bikharte hue

mujhe to ranj tha sab se kahin ziyaada 'zafar'

jo dekh leta meri samt bhi wo marte hue

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Kinaya Kahin Aur Baat Karte Hue In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Koi Kinaya Kahin Aur Baat Karte Hue is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Koi Kinaya Kahin Aur Baat Karte Hue for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Koi Kinaya Kahin Aur Baat Karte Hue in PDF.