Kuchh Nahin Samjha Hun Itna MuKHtasar Paigham Tha

kuchh nahin samjha hun itna muKHtasar paigham tha

kya hawa thi jis hawa ke hath par paigham tha

us ko aana tha ki wo mujh ko bulata tha kahin

raat bhar barish thi us ka raat bhar paigham tha

lene wala hi koi baqi nahin tha shahr mein

warna to us sham koi dar-ba-dar paigham tha

muntazir thi jaise KHud hi tinka tinka aarzu

KHar-o-KHas ke waste goya sharar paigham tha

kya musafir the ki the ranj-e-safar se be-niyaz

aane jaane ke liye ek rah-guzar paigham tha

koi kaghaz ek maile se lifafe mein tha band

khol kar dekha to us mein sar-ba-sar paigham tha

har qadam par raston ke rang the bikhre hue

chalne walon ke liye apna safar paigham tha

kuchh sifat us mein parindon aur patton ki bhi thi

kitni shadabi thi aur kaisa shajar paigham tha

aur to laya na tha paigham sath apne 'zafar'

jo bhi tha us ka yahi aib o hunar paigham tha

(1204) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Nahin Samjha Hun Itna MuKHtasar Paigham Tha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kuchh Nahin Samjha Hun Itna MuKHtasar Paigham Tha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kuchh Nahin Samjha Hun Itna MuKHtasar Paigham Tha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kuchh Nahin Samjha Hun Itna MuKHtasar Paigham Tha in PDF.