Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka

kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

khel khela hua ye us ko bhula dene ka

apne hi samne diwar bana baiTha hun

hai ye anjam use raste se haTa dene ka

yunhi chup chap guzar jaiye in galiyon se

yahan kuchh aur hi matlab hai sada dene ka

rasta rokna maqsad nahin kuchh aur hai ye

darmiyan mein koi diwar uTha dene ka

aane walon ko tariqa mujhe aata hai bahut

jaane walon ke taaqub mein laga dene ka

ek maqsad to hua DhunDna us ko har-su

lutf hi aur hai pane se ganwa dene ka

ek hunar pas tha apne so nahin ab wo bhi

jo dikhai nahin deta hai dikha dene ka

sab ko malum hai aur hausla rakhta hun abhi

apne likkhe hue ko KHud hi miTa dene ka

TuT paDti hai qayamat koi pahle hi 'zafar'

qasd karta hun jo fitne ko jaga dene ka

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kuchh Sabab Hi Na Bane Baat BaDha Dene Ka in PDF.