Kuchh Usne Socha To Tha Magar Kaam Kar Diya Tha

kuchh us ne socha to tha magar kaam kar diya tha

jo mere KHwabon ko itne rangon se bhar diya tha

ghubar mein bhig si gai thi faza kisi ne

ruki hui raat ko wo rang-e-sahar diya tha

isi ke andar thi sari pechidgi ki us ne

kahan khaDa tha main aur ishaara kidhar diya tha

chalo is asna mein meri aankhen to khul gai hain

kabhi jo us ne mujhe fareb-e-nazar diya tha

kisi bhi din baiTh kar ye duniya hisab kar le

ki mujh se kitna liya hai aur kas qadar diya tha

main kar sakun sab ke samne apni aib-jui

ye dene wale ne KHas mujh ko hunar diya tha

isi mein tha Dubna ubharna mera muqaddar

lahu ke andar mujhe ek aisa bhanwar diya tha

jo dhup ki aag us ne barsai thi zamin par

to chhanw mein baiThne ki KHatir shajar diya tha

ye us ki marzi ki le liya hai usi ne wapas

'zafar' meri shaeri ko jis ne asar diya tha

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Usne Socha To Tha Magar Kaam Kar Diya Tha In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kuchh Usne Socha To Tha Magar Kaam Kar Diya Tha is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kuchh Usne Socha To Tha Magar Kaam Kar Diya Tha for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kuchh Usne Socha To Tha Magar Kaam Kar Diya Tha in PDF.