Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai

kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

zahir is se bhi mera jazba-e-imani hai

ye jo yaksui mayassar hai mujhe sham o sahar

sar-ba-sar mere liye wajh-e-pareshani hai

is kinare pe faqat main hun akela KHali

nahr ke dusri jaanib meri hairani hai

KHak uDti hai to har-su mere andar warna

jis taraf main hun wahan chaaron taraf pani hai

jo siyah-fam hai andar ki taraf se jitna

us ke chehre pe yahan utni hi tabani hai

mausamon se abhi mayus nahin hun yaksar

ek hawa hai jo abhi meri taraf aani hai

dil mein kya surat-e-haalat hai khulta nahin kuchh

kya kami hai yahan kis shai ki farawani hai

ye ajab tarha ka bazar-e-suKHan hai ki jahan

main hi nayab hun aur meri hi arzani hai

aazmaish mein hi rakhta hun sada KHud ko 'zafar'

meri mushkil hi sarasar meri aasani hai

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Kufr Se Ye Jo Munawwar Meri Peshani Hai in PDF.