Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai

lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai

dekhte dekhte hathon se nikal jaana hai

dopahar wo hai ki hoti nazar aati hi nahin

din hamara to bahut pahle hi Dhal jaana hai

ji hamara bhi yahan ab nahin lagta itna

aaj agar rok liye jaen to kal jaana hai

dil mein khilta hua ek aaKHiri KHwahish ka ye phul

jate jate ise KHud main ne masal jaana hai

jo yahan KHud hi laga rakkhi hai chaaron jaanib

ek din hum ne isi aag mein jal jaana hai

chalti rukti hui ye husn bhi hai ek hawa

mausam-e-ishq bhi ek roz badal jaana hai

jaise ghuTTi mein koi KHauf paDa ho is ki

baat-be-baat hi is dil ne dahal jaana hai

aur to honi hai kya apni wasuli us se

munh pe kalak ye mulaqat ki mal jaana hai

main bhi kuchh der se baiTha hun nishane pe 'zafar'

aur wo khencha hua tir bhi chal jaana hai

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai in PDF.